𝑵𝒖𝒎𝒂𝒊𝒔𝒉...

Kuch waqt se dil iss khayal mein mubtala hai ki vo bachpan ki numaish se dil bharta nahi tha par ab inn shehron ki har din ki numaishon ne dilon ko bezaar kar dia hai. 

Mera ek sawaal hamesha se raha tha unse jo tasveron se ya apne zubaan se apne aas paas ke logon ko ehsaas-e-kamtari ka shikaar bana dete hain ki kya tumhe iss baat se khauf nahi ata ki Jo bhi iss duniya mein ata Kiya Gaya hai vo vapis bhi liya ja sakta hai..ya fir agar vo sab ata kia gaya hai toh uska maksad mazloomon ki madad karna bhi ho sakta hai naaki zamaane mein numaish lagane ke liye.

Shayad isiliye guroor ko sabse bada aib mana gaya hai...kyunki guroor hi insaan ko sahi-galat aur jayaz-nazayaz sochne ke kaabil nahi chorta.

Insaan zarre ke jitni zindagi ko bhi inhi bebuniyaad baaton se aur dikhave ki dewaaro se dhak kar uski khoobsoorti ko kho deta hai..

Insaan toh fir insaan hi hai na!!

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. connect with me, i can make ur blogs more fun mr.rock462

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

𝑹𝒂𝒅𝒊𝒄𝒂𝒍𝒊𝒔𝒂𝒕𝒊𝒐𝒏: 𝑨 𝒃𝒓𝒊𝒆𝒇 𝒅𝒊𝒔𝒄𝒖𝒔𝒔𝒊𝒐𝒏

तू है ~𝐀 𝐩𝐞𝐨𝐦

A glimpse of life these days!