Posts

Showing posts with the label Aaj mughe kho jane do

Aaj Mughe Kho Jane Do

Ye karo ye acha hai.... Kaun jane kaun sacha hai! Din unke  Raatein unki   khwaab unke   Baatein unki..... Bas rooh ko mera ho jane do.. Mughe kho jane do.. Dunia toh bas ek paimana hai....shayad isiliye Jo chaho bas vo kar gujar jana hai! Aaj manjilon ke raston pe kuch der theher jane do... Khayalon ke Behar mein aaj din dhal raha hai... Aaj bas aaj.. Mughe kho jane do.....Mughe kho jane do!