Vo bheed thi, vo ek bheed thi
Ek mamuli si sham thi
Aai maghrib ki azaan thi
Ammi ko kehkar nikle the
Sewaiyaan aakar khayenge
Jab nikle toh pata na tha
Vo aakhri azaan thi
Vo bheed thi....vo ek bheed thi
Haathon mein talwaaron ke saath
Aankhon mein angaro ke sath
Bas ek vo the
Aur meri thartharati zabaan thi
Vo bheed thi....vo ek bheed thi
Bata toh do kasoor mera
Mughse itni nafrat kyu
vo kehte tum jo khate ho
vo hamari mata hai
Jab baat kuch aisi ho
toh ye ana ka masla ban jata hai
Vo bheed thi...vo ek bheed thi
Main kehna chahta tha unko
Ammi meri akeli hai
Ye kaisi wajah batate ho
Tum ek jaan lene ki
Jab kall uss maa ko maine
Sadak pe marte dekha tha
Ek ek roti apni dedi.....ammi ne mohobbat mein usko
Main kehna chahta tha unko
Par
Vo bheed thi..vo ek bheed thi
Bas ek bematlab ki baat thi
Ek nafrat ki buniyaad thi
Shikayat karun toh kisse karun
kyunki
Vo bheed thi...vo ek bheed thi
~AYUSHI JHA
Comments
Post a Comment