Vo bheed thi, vo ek bheed thi
Ek mamuli si sham thi Aai maghrib ki azaan thi Ammi ko kehkar nikle the Sewaiyaan aakar khayenge Jab nikle toh pata na tha Vo aakhri azaan thi Vo bheed thi....vo ek bheed thi Haathon mein talwaaron ke saath Aankhon mein angaro ke sath Bas ek vo the Aur meri thartharati zabaan thi Vo bheed thi....vo ek bheed thi Bata toh do kasoor mera Mughse itni nafrat kyu vo kehte tum jo khate ho vo hamari mata hai Jab baat kuch aisi ho toh ye ana ka masla ban jata hai Vo bheed thi...vo ek bheed thi Main kehna chahta tha unko Ammi meri akeli hai Ye kaisi wajah batate ho Tum ek jaan lene ki Jab kall uss maa ko maine Sadak pe marte dekha tha Ek ek roti apni dedi.....ammi ne mohobbat mein usko Main kehna chahta tha unko Par Vo bheed thi..vo ek bheed thi Bas ek bematlab ki baat thi Ek nafrat ki buniyaad thi Shikayat karun toh kisse karun kyunki Vo bheed thi...vo ek bheed thi ~AYUSHI JHA