ππ’π₯ ππ ππ¦πππ ππ¨π‘ πππ‘π’❤️
Khamoshi ki chadar oodh kar aaj main apne aas paas ki hoti hui cheezo aur logon ko mehsoos kar rahi hoon. Khamoshi aksar hume humse apna raabta mazboot karne mein madat karti hai...Vo raabta Jo maut Tak saath rehta hai aur uske baad bhi. Shayad jis baat se main mayoos hun, naumeed hoon, uss baat ki ahmiyat ek zarre se bhi kam hai. Zindagi rukti nahi, na hi hamare aas pas ki duniya...mere gham ka ye lamha un hazaro lamho mein se ek hai Jo agle hi pal guzar jayega.. Beete inn lamho ke sath mere Dil ne bhi ab sabr ki ayat ko yaad kar liya hai aur sath hi Faiz Ahmed Faiz ke in alfaazon ko bhi Jo mere besukoon dil ko sukoon deti hai...!